Complaint Gram panchayat bakiya tiwariyan me road nahi banane diya ja raha he.

  • Dainik Bhaskar Patrika Contact Number in Bhopal - gram panchayat bakiya tiwariyan me road nahi banane diya ja raha he.
    Ram shiromani Dwivedi on 2018-02-21 17:25:52

    sir mera name ramshiromani dwivedi he. mai gram panchayat bakiya tiwariyan pathraha tola janpad panchayat rampur baghelan jila satna ka pustaini niwasi hu

    sir rewa main road se yogendra prasad dwivedi ke ghar tak ke liye pcc road ka nirmad karana tha aur materiyal bhi giraya ja chuka tha lekin kuchh logo ke kahne par aur sarpanch sachiv ke dhadhli vaji ke karan sadak ka nirmad karya 100 meter ka rok diya gaya he jo ki sarpanch apne ghar ke age hamare ghar tak nahi banwa raha hai jiski sikayat mene 1 manine pahle c.m. helpline me complaint no.5387709 apni sikayat darj karai thi lekin bibhag ke dwara koi nirakarn nahi kiya gaya he aur mere pas nirakarn ka message a gaya ha
    apse hamara binamra nivedan he ki ap hamare ghar tak road banane me madad kare aur is news ko paper me prakashit kar de.
    thanks