Complaint U.P. Police Curruption aur dabang logo ke sath milkar kamzor logo ka shoshan. Madad maangne per media dwara dalali ki maang.

  • NDTV News Channel 24x7 Contact Number, Email ID, Toll-Free Helpline Number - U.P. Police Curruption aur dabang logo ke sath milkar kamzor logo ka shoshan. Madad maangne per media dwara dalali ki maang.
    Zafar on 2017-10-31 17:28:04

    Good Evening,

    Main Zafar, Rampur U.P. Se. Rampur city ki ek Tehsil Swar(244924) mein hamara ek ghar aur uske pass hi do dukane hein aur wahan hamara koi saga sambandhi nahi rehta hai aur jaatiwaad wahan hud se zyada hai. Jo bhi relatives hein wo Rampur City mein hein. Meri family mein maa, bhai aur ek chhoti behan hai. Papa ki death 25.01.2013 ke baad hum sab akele se ho gaye. Dadi dada pehle hi guzar chuke the. Unke baad se hi hamari kafi property joki khtm ho chuki hai per sabki niyat kharab hone lagi thi. Bade papa aur papa ke batware ke baad bas ek ghar aur market mein
    2 dukano ke siva kuch nahi bacha hai. Wo dukane hamari dada elahi kareeb 80 saal purani hein jiske saare legal documents mere pass hein aur posession(kabza) bhi hamare hi pass hai. Lekin un per bhi dukano ke peeche rehne wale ek bhoo mafia ki niyat kharab ho gae. Uske shadyantra ke mutabik usne papa ki death ke turant baad hi ek bebuniyad meqadma dayar kiya ke wo shops uski hein per uske pass iska koi real proof nahi hai. 4 saal se hum bewajah us muqadme ko ladh rahe the aur is wajah se apni shops ko dubara todhkar banva bhi nahi pa rahe the joki din ba din zaroori hota ja raha tha kyuki us bhoo mafia ka ghar peeche hone ki wajah se fayeda utha raha tha. wo hame kisi tarah pareshan karta rehta tha aur kuch na kuch peeche se todh phodh bhi karta rehta tha. Haalaki posession hamare pass Tha phir bhi hum apni hi cheez per poori tarah haq nahi jama pa rahe the. Kae baar police complaint ki but koi fayeda nahi hua. ulta police wale hame hi daant kar chale jate the ya aate hi nahi the. Aaj hud paar ye ho gae ke usne apne room ki diwar joki meri shops ke peeche hi bana hua hai ko todh kar andar ghus kar shutters locks per veilding karva diya jabki bahar road se locks hamare lage hue hein aur kaafi saara Saaman bhi andar hai. Ye 09.10.2017 ko hua hai. Local police ne milkar ye sab karwaya hai aur iska proof mere pass hai. Court ke final disposal mein file hone ke baad usne aur uske poore parivar ne ye gandi harkat ki kyuki in logo ko pata tha ke ye case haar jayenge to zabardasti kabza karne ka alava aur koi rasta nahi tha inke pass. Ye bhoo mafia log ek saal pehle bhi hamare barabar wali do dukane hadap chuke hein aur Ab hamari property bhi hadapna chahte hein aur wo isme almost kamyab ho gaye hein. Police khud
    Party bankar lagatar hamare khilaf jhoothi reports lagakar S.P. Sir D.M. Sir sab ke yahan bhej rahi hai. Wo to online hone ki wajah se uski copy mere pass hai warna to hard vopy bhi nahi de rahe. Aur jhagde ke darr ki wajah se hum abhi tak apni hi shops nahi khol paye hein. Mera lawyer bhi un logo se mila hua nikla. Kuch local media ke dalal mera kafi waqt aur paisa isme barbad karva chuke hein per kuch nahi hua. Aur mere pass zyada paise bhi nahi hein. Main kaafi din se Ravish Sir se baat karne ki koshish mein hoon aur jaldi hi un tak pahunch bhi jaunga. per aaj apko ye mail kar raha hoon. Aap please meri help kijiye aur Ravish Sir tak meri ye baat pahuncha dijiye. Meri maa har waqt isi fikr mein rehti hai ke kahin mujhe ya mere bhai ko kuch na ho jaye. Main maa ko pareshan nahi dekh sakta aur na rote hue dekh sakta hoon. Per kya karun, koshish to kar hi raha hoon. Apko unki dua milegi. Jo ho sake wo hamare liye kar dijiye. Hamara future isse juda hai aur waqt tezi se nikalta ja raha hai. Poora din mera isi bhaag dodh mein nikal jata hai ke kaise hoga. Raat ko yahi sab ghoomta hai. Na bhookh hai na pyas hai. Dada dada papa ki purani yaden, us jagah pe jo bachpan guzara wo sab satata hai aur yahi soch rehta hai ke bas kisi tarah hamara ye haq hame mile joki sirf hamara hai. Haar maine abhi tak maani nahi lekin ye koshish bhi kab tak. Please jo ho sake hanare liye wo kijiye. Apki meharbani hogi. Brashtachar aur zabardasti badav ke mamle mein ye achchi news bhi ban sakti hai. Main ek artist hoon. Pichle 6 saal se Mumbai mein tha. Wo log jab zyada pareshan karne lage to mujhe apne haq ke liye aana padha lekin itna struggle karna padega ye nahi socha tha. Apno ke liye apne sapno per kabhi dhool jamani padh jati hai lekin sab Theek ho jane ke baad shayad main wapas jaun. Lekin pehle farz Poora karna hai. Bada hoon na. Kya karun. Papa zimmedari jo dekar gaye hein.
    Shukriya.
    Bhagwan apko khush rakhe.
    7738620873
    9167833719